meri KHatir kosh bhagye ka ghaT jata hai
merī ḳhātir kosh bhāgye kā ghaT jaatā hai
dil kī har chiTThī kā konā phaT jaatā hai
chanchal shoḳh havā.eñ sāñkal khaTkātī haiñ
dhyān hamārā terī or se haT jaatā hai
ham ne sukh sapnoñ ke gahre ghaav siiye haiñ
agar pāTnā chāho sāgar paT jaatā hai
dhyān se pakḌo baañs zindagī lachak rahī hai
ḳhvāboñ kī rassī par man kā naT jaatā hai
umr-qaid sāñsoñ kī hai ye maayā nagrī
khaTte khaTte saarā jīvan khaT jaatā hai
likh likh kar maiñ naam tumhārā miTā rahī huuñ
halkā dhabbā rahtā pannā phaT jaatā hai
meri KHatir kosh bhagye ka ghaT jata hai
dil ki har chiTThi ka kona phaT jata hai
chanchal shoKH hawaen sankal khaTkati hain
dhyan hamara teri or se haT jata hai
hum ne sukh sapnon ke gahre ghaw siye hain
agar paTna chaho sagar paT jata hai
dhyan se pakDo bans zindagi lachak rahi hai
KHwabon ki rassi par man ka naT jata hai
umr-qaid sanson ki hai ye maya nagri
khaTte khaTte sara jiwan khaT jata hai
likh likh kar main nam tumhaara miTa rahi hun
halka dhabba rahta panna phaT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.