meri miTTi se agar ruh nikali jae
merī miTTī se agar ruuh nikālī jaa.e
is meñ ye to nahīñ tasdīq karā lī jaa.e
maiñ tujhe ḳhvāb meñ yuuñ ḳhvāb sajātā dekhūñ
jaise tasvīr meñ tasvīr banā lī jaa.e
tum agar chāho mirā haath jhaTak saktī ho
jis ghaḌī tum se merī baat na Taalī jaa.e
koī ummīd nahīñ tum se magar chup ke sabab
dil ko bahlānā hai āvāz lagā lī jaa.e
meri miTTi se agar ruh nikali jae
is mein ye to nahin tasdiq kara li jae
main tujhe KHwab mein yun KHwab sajata dekhun
jaise taswir mein taswir bana li jae
tum agar chaho mera hath jhaTak sakti ho
jis ghaDi tum se meri baat na Tali jae
koi ummid nahin tum se magar chup ke sabab
dil ko bahlana hai aawaz laga li jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.