Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein

Allama Iqbal

meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Bal-e-Jibril)

    merī navā-e-shauq se shor harīm-e-zāt meñ

    ġhulġhula-hā-e-al-amāñ but-kada-e-sifāt meñ

    huur o farishta haiñ asiir mere taḳhaiyyulāt meñ

    merī nigāh se ḳhalal terī tajalliyāt meñ

    garche hai merī justujū dair o haram naqsha-band

    merī fuġhāñ se rustaḳhez ka.aba o somnāt meñ

    gaah mirī nigāh-e-tez chiir ga.ī dil-e-vajūd

    gaah ulajh ke rah ga.ī mere tavahhumāt meñ

    ne ye kyā ġhazab kiyā mujh ko bhī faash kar diyā

    maiñ to ek raaz thā sīna-e-kā.enāt meñ

    meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein

    ghulghula-ha-e-al-aman but-kada-e-sifat mein

    hur o farishta hain asir mere taKHaiyyulat mein

    meri nigah se KHalal teri tajalliyat mein

    garche hai meri justuju dair o haram ki naqsha-band

    meri fughan se rustaKHez kaba o somnat mein

    gah meri nigah-e-tez chir gai dil-e-wajud

    gah ulajh ke rah gai mere tawahhumat mein

    tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi fash kar diya

    main hi to ek raaz tha sina-e-kaenat mein

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Ali

    Mohammad Ali

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now