meri rifat par jo hairan hai to hairani nahin
merī rif.at par jo hairāñ hai to hairānī nahīñ
tū abhī insān kī azmat kā irfānī nahīñ
aur ye kyā hai zabt jo soz-e-pinhānī nahīñ
aag raushan dil meñ hai chehre pe tābānī nahīñ
phuul ke patte bikhar kar ik fasāna kah ga.e
jis kī ho tartīb mumkin vo pareshānī nahīñ
mujh par ik ilzām hai qaid-e-qafas vo bhī ġhalat
jis kī nīyat meñ ho āzādī vo zindānī nahīñ
josh-e-girya us par aahoñ kī ye sailābī havā
kaun sī hai mauj-e-ashk aisī jo tūfānī nahīñ
raaz ye mujh par shikast-e-ġhuncha-o-gul se khulā
husn bhī to be-niyāz-e-chāk-dāmānī nahīñ
ḳhvāhishoñ ke saath apne nafs ko bhī kar fanā
zindagī meñ is se behtar koī qurbānī nahīñ
ittifāqāt-e-mohabbat ne ye sābit kar diyā
vo bhī peshānī meñ hai shāyad jo pesh aanī nahīñ
daulat-e-kaunain se bhī hai girāñ-tar ik sukūñ
dil ho mustaġhnī to parvā-e-jahāñbānī nahīñ
jāvedānī huuñ maiñ ai duniyā parastish kar mirī
ye musallam hai ki tū faanī hai maiñ faanī nahīñ
hausloñ ke saath tai kar rāh-e-dushvār-e-hayāt
hal to hoñgī mushkileñ lekin ba-āsānī nahīñ
dekh ai saaqī qanā.at kī tarab-afshāniyāñ
āb-e-kausar hai kaTore meñ mire paanī nahīñ
hai mirī nazroñ meñ anjām-e-bahār-e-gulsitāñ
ab mire sar meñ havā-e-gul badāmānī nahīñ
bah chukā hai ḳhuun paanī kī tarah insān kā
mo'tadil phir bhī mizāj-e-ālam-fānī nahīñ
kar na ai kunj-e-lahad zahmat mire ārām kī
maiñ mujāhid huuñ mujhe ḳhu-e-tan-āsānī nahīñ
kar rahā huuñ nazm ai 'sīmāb' qur.ān-e-majīd
aur ye kyā hai agar tā.īd-e-yazdānī nahīñ
meri rifat par jo hairan hai to hairani nahin
tu abhi insan ki azmat ka irfani nahin
aur ye kya hai zabt jo soz-e-pinhani nahin
aag raushan dil mein hai chehre pe tabani nahin
phul ke patte bikhar kar ek fasana kah gae
jis ki ho tartib mumkin wo pareshani nahin
mujh par ek ilzam hai qaid-e-qafas wo bhi ghalat
jis ki niyat mein ho aazadi wo zindani nahin
josh-e-girya us par aahon ki ye sailabi hawa
kaun si hai mauj-e-ashk aisi jo tufani nahin
raaz ye mujh par shikast-e-ghuncha-o-gul se khula
husn bhi to be-niyaz-e-chaak-damani nahin
KHwahishon ke sath apne nafs ko bhi kar fana
zindagi mein is se behtar koi qurbani nahin
ittifaqat-e-mohabbat ne ye sabit kar diya
wo bhi peshani mein hai shayad jo pesh aani nahin
daulat-e-kaunain se bhi hai giran-tar ek sukun
dil ho mustaghni to parwa-e-jahanbani nahin
jawedani hun main ai duniya parastish kar meri
ye musallam hai ki tu fani hai main fani nahin
hauslon ke sath tai kar rah-e-dushwar-e-hayat
hal to hongi mushkilen lekin ba-asani nahin
dekh ai saqi qanaat ki tarab-afshaniyan
aab-e-kausar hai kaTore mein mere pani nahin
hai meri nazron mein anjam-e-bahaar-e-gulsitan
ab mere sar mein hawa-e-gul badamani nahin
bah chuka hai KHun pani ki tarah insan ka
mo'tadil phir bhi mizaj-e-alam-fani nahin
kar na ai kunj-e-lahad zahmat mere aaram ki
main mujahid hun mujhe KHu-e-tan-asani nahin
kar raha hun nazm ai 'simab' quran-e-majid
aur ye kya hai agar taid-e-yazdani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.