meri rudad hai ki aaina
merī rūdād hai ki ā.īna
ye koī yaad hai ki ā.īna
ek muddat se kuchh nahīñ dekhā
dil kī fariyād hai ki ā.īna
jism-o-jāñ dekh kar larazte haiñ
koī uftād hai ki ā.īna
dil-e-darvesh kuchh batā tū hī
ishq ābād hai ki ā.īna
koī batlāo sāmne mere
merā ham-zād hai ki ā.īna
meri rudad hai ki aaina
ye koi yaad hai ki aaina
ek muddat se kuchh nahin dekha
dil ki fariyaad hai ki aaina
jism-o-jaan dekh kar larazte hain
koi uftad hai ki aaina
dil-e-darwesh kuchh bata tu hi
ishq aabaad hai ki aaina
koi batlao samne mere
mera ham-zad hai ki aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.