meri sansen sham ki bhigi hawa mein khul gain
merī sāñseñ shaam kī bhīgī havā meñ khul ga.iiñ
band kī āñkheñ to maazī kī kitābeñ khul ga.iiñ
vo jo bachpan meñ banā.ī thī kabhī dīvār par
ab ki bārish meñ vo tasvīreñ bhī saarī dhul ga.iiñ
kar ga.iiñ maujeñ sharārat jab bhī likkhā terā naam
ret par jitnī lakīreñ thiiñ vo mil-jul ga.iiñ
band āñkhoñ meñ sunahre ḳhvāb Thahre the magar
ḳhvāb jab pahuñche haqīqat tak to āñkheñ khul ga.iiñ
meri sansen sham ki bhigi hawa mein khul gain
band ki aankhen to mazi ki kitaben khul gain
wo jo bachpan mein banai thi kabhi diwar par
ab ki barish mein wo taswiren bhi sari dhul gain
kar gain maujen shararat jab bhi likkha tera nam
ret par jitni lakiren thin wo mil-jul gain
band aankhon mein sunahre KHwab Thahre the magar
KHwab jab pahunche haqiqat tak to aankhen khul gain
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.