meri tasir tera jadu bhi
merī tāsīr terā jaadū bhī
āzmānā hai ab ye pahlū bhī
kyā shab-e-vasl meñ ye jaa.ez hai
maiñ bhī sone lagā huuñ aur tū bhī
ab batāo nibāh pāogī
bad-zabāñ huuñ maiñ aur bad-ḳhū bhī
itnā chillā ke kyā huā hāsil
maiñ bhī ḳhāmosh ho gayā tū bhī
ik nishānī thī vasl kī jānāñ
āḳhirash mar ga.ī vo ḳhushbū bhī
meri tasir tera jadu bhi
aazmana hai ab ye pahlu bhi
kya shab-e-wasl mein ye jaez hai
main bhi sone laga hun aur tu bhi
ab batao nibah paogi
bad-zaban hun main aur bad-KHu bhi
itna chilla ke kya hua hasil
main bhi KHamosh ho gaya tu bhi
ek nishani thi wasl ki jaanan
aaKHirash mar gai wo KHushbu bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.