meri tahriron ka mahwar ek be-sar faKHta
merī tahrīroñ kā mahvar ek be-sar fāḳhta
merā naara ḳhāmushī merā payambar fāḳhta
ek āñgan qahqahoñ aur siskiyoñ se be-ḳhabar
chhat pe ik parcham phaTā sā aur dar par fāḳhta
tere rastoñ kī rukāvaT shāḳh ik zaitūn kī
tere aivānoñ ke andar jāgtā Dar fāḳhta
shaam pyārī shaam us par bhī koī dar khol de
shāḳh par baiThī huī hai ek beghar fāḳhta
ek jānib ujle paanī kā bulāvā aur huā
dūsrī samt ik akelī aur be-par fāḳhta
meri tahriron ka mahwar ek be-sar faKHta
mera nara KHamushi mera payambar faKHta
ek aangan qahqahon aur siskiyon se be-KHabar
chhat pe ek parcham phaTa sa aur dar par faKHta
tere raston ki rukawaT shaKH ek zaitun ki
tere aiwanon ke andar jagta Dar faKHta
sham pyari sham us par bhi koi dar khol de
shaKH par baiThi hui hai ek beghar faKHta
ek jaanib ujle pani ka bulawa aur hua
dusri samt ek akeli aur be-par faKHta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.