meri tarah zara bhi tamasha kiye baghair
merī tarah zarā bhī tamāsha kiye baġhair
ro kar dikhāo aañkh ko giilā kiye baġhair
ġhairat ne hasrato kā garebāñ pakaḌ liyā
ham lauT aa.e arz-e-tamannā kiye baġhair
chehra hazār baar badal lījiye magar
maazī to chhoḌtā nahīñ pīchhā kiye baġhair
kuchh dostoñ ke dil pe to chhuriyāñ sī chal ga.iiñ
kī us ne mujh se baat jo parda kiye baġhair
meri tarah zara bhi tamasha kiye baghair
ro kar dikhao aankh ko gila kiye baghair
ghairat ne hasrato ka gareban pakaD liya
hum lauT aae arz-e-tamanna kiye baghair
chehra hazar bar badal lijiye magar
mazi to chhoDta nahin pichha kiye baghair
kuchh doston ke dil pe to chhuriyan si chal gain
ki us ne mujh se baat jo parda kiye baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.