meri ulfat ko bhi jafa samjhe
merī ulfat ko bhī jafā samjhe
maiñ ne kyā samjhā aap kyā samjhe
us nazar ko nazar kahūñ kaise
pattharoñ ko jo aa.ina samjhe
thī fazāoñ meñ vo ghuTan ki log
bād-e-sarsar ko bhī sabā samjhe
bhuul baiThā ho jab ḳhudā ko bhī
aadmī aadmī ko kyā samjhe
bad-gumāñ ho ga.e vo jab mujh se
merī har baat ko gila samjhe
chain lene diyā na ik pal ko
ai ġham-e-dil tujhe ḳhudā samjhe
koī to ho jahāñ meñ ai 'hātif'
mere dil kā jo mājrā samjhe
meri ulfat ko bhi jafa samjhe
main ne kya samjha aap kya samjhe
us nazar ko nazar kahun kaise
pattharon ko jo aaina samjhe
thi fazaon mein wo ghuTan ki log
baad-e-sarsar ko bhi saba samjhe
bhul baiTha ho jab KHuda ko bhi
aadmi aadmi ko kya samjhe
bad-guman ho gae wo jab mujh se
meri har baat ko gila samjhe
chain lene diya na ek pal ko
ai gham-e-dil tujhe KHuda samjhe
koi to ho jahan mein ai 'hatif'
mere dil ka jo majra samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.