meri wahshat ka kya zamana hai
merī vahshat kā kyā zamāna hai
har zabāñ par mirā fasāna hai
dil hai aur ishq kā fasāna hai
uf javānī bhī kyā zamāna hai
zulf jab tak rahīn-e-shāna hai
dil kī uljhan kā ik bahāna hai
kis taraf ko jhuke jabīn-e-sujūd
har taraf terā āstāna hai
dekheñ kis kis se zulf ulajhtī hai
sāmne aa.ina na shāna hai
tausan-e-shauq kyoñ ruke merā
har-nafas dil ko tāziyāna hai
ġhaur se dekhiye agar to 'hasan'
zindagī maut kā fasāna hai
meri wahshat ka kya zamana hai
har zaban par mera fasana hai
dil hai aur ishq ka fasana hai
uf jawani bhi kya zamana hai
zulf jab tak rahin-e-shana hai
dil ki uljhan ka ek bahana hai
kis taraf ko jhuke jabin-e-sujud
har taraf tera aastana hai
dekhen kis kis se zulf ulajhti hai
samne aaina na shana hai
tausan-e-shauq kyon ruke mera
har-nafas dil ko taziyana hai
ghaur se dekhiye agar to 'hasan'
zindagi maut ka fasana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.