meri zindagi ho tum
merī zindagī ho tum
ya.anī ajnabī ho tum
āgahī sabhī kuchh hai
ishq-o-āgahī ho tum
terā ho chukā huuñ maiñ
merī ho chukī ho tum
mar rahā huuñ maiñ ġham se
aur hañs rahī ho tum
pahlī pahlī nīñdoñ kā
ḳhvāb āḳhirī ho tum
mujh pe lams vājib hai
duur kyoñ khaḌī ho tum
muḌ ke dekhnā be-sūd
saath kab chalī ho tum
ḳhud pe hañstī rahtī ho
kitnī sar-phirī ho tum
maiñ gale se lag jā.ūñ
kitnā sochtī ho tum
meri zindagi ho tum
yani ajnabi ho tum
aagahi sabhi kuchh hai
ishq-o-agahi ho tum
tera ho chuka hun main
meri ho chuki ho tum
mar raha hun main gham se
aur hans rahi ho tum
pahli pahli nindon ka
KHwab aaKHiri ho tum
mujh pe lams wajib hai
dur kyon khaDi ho tum
muD ke dekhna be-sud
sath kab chali ho tum
KHud pe hansti rahti ho
kitni sar-phiri ho tum
main gale se lag jaun
kitna sochti ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.