mezon pe saja ke ayagh dharo
mezoñ pe sajā ke ayāġh dharo
ab dāman dāman daaġh dharo
ham-sāyoñ ke ghar haiñ chhappar ke
lā kar na havā meñ charāġh dharo
ākāsh ko ik din chhū legā
us sar meñ merā dimāġh dharo
begānoñ kī hai ye bastī
manzil ke yahāñ na surāġh dharo
achchhā nahīñ dil kā korā-pan
is banjar meñ ek baaġh dharo
mezon pe saja ke ayagh dharo
ab daman daman dagh dharo
ham-sayon ke ghar hain chhappar ke
la kar na hawa mein charagh dharo
aakash ko ek din chhu lega
us sar mein mera dimagh dharo
beganon ki hai ye basti
manzil ke yahan na suragh dharo
achchha nahin dil ka kora-pan
is banjar mein ek bagh dharo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.