Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mir dariya hai sune sher zabani uski

Meer Taqi Meer

mir dariya hai sune sher zabani uski

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    'mīr' dariyā hai sune sher zabānī us

    allāh allāh re tabī.at ravānī us

    ḳhātir-e-bādiya se dair meñ jāvegī kahīñ

    ḳhaak mānind bagūle ke uḌānī us

    ek hai ahd meñ apne vo parāgañda-mizāj

    apnī āñkhoñ meñ na aayā koī saanī us

    meñh to bauchhār dekhā hai baraste tum ne

    isī andāz se thī ashk-fishānī us

    baat tarz ko dekho to koī jaadū thā

    par milī ḳhaak meñ kyā sehr-bayānī us

    kar ke tāvīz rakheñ us ko bahut bhātī hai

    vo nazar paañv pe vo baat divānī us

    us vo ijz tumhārā ye ġhurūr-e-ḳhūbī

    minnateñ un ne bahut kiiñ pa na maanī us

    kuchh likhā hai tujhe har barg pe ai rashk-e-bahār

    ruq.a vāreñ haiñ ye aurāq-e-ḳhizānī us

    sarguzisht apnī kis andoh se shab kahtā thā

    so ga.e tum na sunī aah kahānī us

    marsiye dil ke ka.ī kah ke diye logoñ ko

    shahr-e-dillī meñ hai sab paas nishānī us

    miyān se niklī paḌtī thī tumhārī talvār

    kyā evaz chaah thā ḳhasmi-e-jānī us

    aable tarah Thes lagī phuuT bahe

    dardmandī meñ ga.ī saarī javānī us

    ab ga.e us ke juz afsos nahīñ kuchh hāsil

    haif sad haif ki kuchh qadr na jaanī us

    'mir' dariya hai sune sher zabani us ki

    allah allah re tabiat ki rawani us ki

    KHatir-e-baadiya se dair mein jawegi kahin

    KHak manind bagule ke uDani us ki

    ek hai ahd mein apne wo paraganda-mizaj

    apni aankhon mein na aaya koi sani us ki

    meinh to bauchhaar ka dekha hai baraste tum ne

    isi andaz se thi ashk-fishani us ki

    baat ki tarz ko dekho to koi jadu tha

    par mili KHak mein kya sehr-bayani us ki

    kar ke tawiz rakhen us ko bahut bhati hai

    wo nazar panw pe wo baat diwani us ki

    us ka wo ijz tumhaara ye ghurur-e-KHubi

    minnaten un ne bahut kin pa na mani us ki

    kuchh likha hai tujhe har barg pe ai rashk-e-bahaar

    ruqa waren hain ye auraq-e-KHizani us ki

    sarguzisht apni kis andoh se shab kahta tha

    so gae tum na suni aah kahani us ki

    marsiye dil ke kai kah ke diye logon ko

    shahr-e-dilli mein hai sab pas nishani us ki

    miyan se nikli hi paDti thi tumhaari talwar

    kya ewaz chah ka tha KHasmi-e-jaani us ki

    aable ki si tarah Thes lagi phuT bahe

    dardmandi mein gai sari jawani us ki

    ab gae us ke juz afsos nahin kuchh hasil

    haif sad haif ki kuchh qadr na jaani us ki

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Shamsur Rahman Faruqi

    mir dariya hai sune sher zabani uski Shamsur Rahman Faruqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now