Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mir jaisa koi suKHan-war na aaega

Anwar Ansari

mir jaisa koi suKHan-war na aaega

Anwar Ansari

MORE BYAnwar Ansari

    'mīr' jaisā koī suḳhan-var na aa.egā

    'iqbāl' adab meñ payambar na aa.egā

    husn-e-sulūk se mire qaa.el hue haiñ dost

    ilzām-e-bevafā.ī mire sar na aa.egā

    apne lahū se pyaas bujhānī hai tā-hayāt

    ab rāste meñ koī samundar na aa.egā

    be-lutf rahegā har ik kaif-e-zindagī

    jashn-e-tarab meñ gar mirā dilbar na aa.egā

    merī nasīhateñ huī yāroñ pe be-asar

    in jañgaloñ meñ peḌ samar-var na aa.egā

    'anvār' ā.inoñ agarche diyā hai saath

    mat soch terī raah meñ patthar na aa.egā

    'mir' jaisa koi suKHan-war na aaega

    'iqbaal' sa adab mein payambar na aaega

    husn-e-suluk se mere qael hue hain dost

    ilzam-e-bewafai mere sar na aaega

    apne lahu se pyas bujhani hai ta-hayat

    ab raste mein koi samundar na aaega

    be-lutf sa rahega har ek kaif-e-zindagi

    jashn-e-tarab mein gar mera dilbar na aaega

    meri nasihaten hui yaron pe be-asar

    in jangalon mein peD samar-war na aaega

    'anwar' aainon ka agarche diya hai sath

    mat soch teri rah mein patthar na aaega

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now