mizan-e-fan pe rakh kar sanche mein Dhaalte hain
mīzān-e-fan pe rakh kar sāñche meñ Dhālte haiñ
chashm-e-ġhazal se shā.ir kājal nikālte haiñ
dāman pe daaġh un ke ham ne unhīñ ke dekhe
kīchaḌ jo dūsroñ par aksar uchhālte haiñ
apnoñ ne to girāyā har baar har Dagar par
ehsāñ hai dushmanoñ kā ham ko sambhālte haiñ
bīmār ḳhvāhishoñ kī takmīl ke liye hī
insān uljhanoñ meñ kyoñ ḳhud ko Dālte haiñ
sanjīda ho ke kab vo bāteñ mirī suneñge
kyā kah rahe ho kah kar aksar jo Tālte haiñ
'ġhālib' sā 'mīr' jaisā andāz kab milegā
alfāz ke samundar ham bhī khañgālte haiñ
shīshe ke ghar haiñ jin ke aksar yahāñ vo 'sānī'
patthar hamārī jānib phir kyoñ uchhālte haiñ
mizan-e-fan pe rakh kar sanche mein Dhaalte hain
chashm-e-ghazal se shair kajal nikalte hain
daman pe dagh un ke hum ne unhin ke dekhe
kichaD jo dusron par aksar uchhaalte hain
apnon ne to giraya har bar har Dagar par
ehsan hai dushmanon ka hum ko sambhaalte hain
bimar KHwahishon ki takmil ke liye hi
insan uljhanon mein kyon KHud ko Dalte hain
sanjida ho ke kab wo baaten meri sunenge
kya kah rahe ho kah kar aksar jo Talte hain
'ghaalib' sa 'mir' jaisa andaz kab milega
alfaz ke samundar hum bhi khangalte hain
shishe ke ghar hain jin ke aksar yahan wo 'sani'
patthar hamari jaanib phir kyon uchhaalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.