mil bhi jaegi rahat munharif zamane se
mil bhī jā.egī rāhat munharif zamāne se
sochnā bhī hai pahle āshiyāñ banāne se
is liye mohabbat meñ rāhatoñ kā munkir huuñ
zindagī na miT jaa.e naqsh-e-ġham miTāne se
gulsitāñ meñ kyā Dāleñ vo binā nasheman kī
laag bijliyoñ ko hai jin ke āshiyāne se
dāġh-e-dil kī afzā.ish rū-kash-e-gulistāñ hai
har bahār sharminda is bahār-ḳhāne se
aaj barbat-e-dil par kaun ye ġhazal-ḳhvāñ hai
zindagī-e-ulfat kī nabz hai Thikāne se
mustaqil ḳhudā rakkhe kaash in bahāroñ ko
zindagī mahak uTThī tere muskurāne se
ye bache bhī ai 'kāmil' haiñ sharīr kis darja
le chale haiñ zāhid ko vaa'z ke bahāne se
mil bhi jaegi rahat munharif zamane se
sochna bhi hai pahle aashiyan banane se
is liye mohabbat mein rahaton ka munkir hun
zindagi na miT jae naqsh-e-gham miTane se
gulsitan mein kya Dalen wo bina nasheman ki
lag bijliyon ko hai jin ke aashiyane se
dagh-e-dil ki afzaish ru-kash-e-gulistan hai
har bahaar sharminda is bahaar-KHane se
aaj barbat-e-dil par kaun ye ghazal-KHwan hai
zindagi-e-ulfat ki nabz hai Thikane se
mustaqil KHuda rakkhe kash in bahaaron ko
zindagi mahak uTThi tere muskurane se
ye bache bhi ai 'kaamil' hain sharir kis darja
le chale hain zahid ko wa'z ke bahane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.