mil jaen izhdiham mein hum hi ye humse dur
mil jaen izhdiham mein hum hi ye humse dur
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
mil jaa.eñ izhdihām meñ ham hī ye ham se duur
ik ghar judā banā.eñge dair-o-haram se duur
jitne qadam ziyāda hoñ utnā ziyāda ajr
ghar barhaman kā chāhiye bait-us-sanam se duur
shaddād shukr kar ki ga.ī dar pe terī jaan
jab thā maqām-e-shikva ki martā iram se duur
pairav huuñ garche pās-e-adab bhī zarūr hai
rakhtā huuñ paañv ḳhizr ke naqsh-e-qadam se duur
chāhūñ ki haal vahshat-e-dil kuchh raqam karūñ
bhāgeñ hurūf vaqt-e-nigārish qalam se duur
dekhā hai dām-o-dāna kā dastūr yaañ nayā
ḳhāl-e-zaqan hī turra-e-pur-pech-o-ḳham se duur
dam bhar meñ jā pahuñchte haiñ yaañ ke muqīm vaañ
ye marhala nahīñ hai savād-e-adam se duur
haiñ khel sab munāfī-e-shaukat ki ahl-e-jāh
rah jaate haiñ shikār meñ ḳhail-o-hasham se duur
'nāzim' ye taar bijlī ke nikle hai raah ḳhuub
bāteñ kareñge yaar ho kitnā hī ham se duur
mil jaen izhdiham mein hum hi ye hum se dur
ek ghar juda banaenge dair-o-haram se dur
jitne qadam ziyaada hon utna ziyaada ajr
ghar barhaman ka chahiye bait-us-sanam se dur
shaddad shukr kar ki gai dar pe teri jaan
jab tha maqam-e-shikwa ki marta iram se dur
pairaw hun garche pas-e-adab bhi zarur hai
rakhta hun panw KHizr ke naqsh-e-qadam se dur
chahun ki haal wahshat-e-dil kuchh raqam karun
bhagen huruf waqt-e-nigarish qalam se dur
dekha hai dam-o-dana ka dastur yan naya
KHal-e-zaqan hi turra-e-pur-pech-o-KHam se dur
dam bhar mein ja pahunchte hain yan ke muqim wan
ye marhala nahin hai sawad-e-adam se dur
hain khel sab munafi-e-shaukat ki ahl-e-jah
rah jate hain shikar mein KHail-o-hasham se dur
'nazim' ye tar bijli ke nikle hai rah KHub
baaten karenge yar ho kitna hi hum se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.