Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil mujhse ai pari tujhe quran ki qasam

Insha Allah Khan Insha

mil mujhse ai pari tujhe quran ki qasam

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    mil mujh se ai parī tujhe qur.ān qasam

    detā huuñ tujh ko taḳht-e-sulaimān qasam

    karr-o-bayoñ tujh ko qasam aur 'arsh

    jibrīl qasam tujhe rizvān qasam

    tuubā salsabīl kausar ke jaam

    hūr-o-qusūr-o-jannat-o-ġhilmān qasam

    rūhul-qudus tujh ko qasam aur masīh

    mariyam ke tujh ko iffat-e-dāmān qasam

    tauret qasam qasam injīl tujhe

    tujh ko qasam zabūr furqān qasam

    tujh ko mohammad-e-arabī qasam hai aur

    maulā-alī shāh-e-ḳhurāsāñ qasam

    millat meñ jis huī us qasam tujhe

    aur apne diin maz.hab-o-īmān qasam

    dāmāñ ko merī haath se us raat mat jhaTak

    tujh ko sahar ke chāk-e-garebān qasam

    muddat se terī chāh-e-zaqan meñ ġharīq huuñ

    billāh mujh ko yūsuf-e-kan.ān qasam

    qaidī huuñ maiñ tirā ba-ḳhudā-vandī-e-ḳhudā

    aur us azīz-e-misr ke zindān qasam

    muusā hai qasam tujhe aur koh-e-tūr

    nūr-o-faroġh-e-jalva-e-lam.ān qasam

    nargis aañkh qasam aur gul ke kaan

    tujh ko sar-e-azīz-e-gulistān qasam

    tujh ko qasam hai ġhuncha-e-zambaq ke naak

    aur shor-e-andalīb-e-ġhazal-ḳhvān qasam

    sone gaa.e qasam aur rūd-e-nīl

    fir'aun qasam tujhe hāmān qasam

    bistar mirā hai ḳhār-e-muġhīlāñ basān-e-qais

    lailā hai tujhe saf-e-mizhgān qasam

    aisī baḌī qasam bhī na maane to hai tujhe

    tujh ko usī ke shaukat-e-zīshān qasam

    dev-e-safed qasam aur koh-e-qāf

    bāġh-e-iram aur paristān qasam

    lonā-chamārī qasam aur kallū-abīr

    kālī-balā ġhūl-e-bayābān qasam

    qasmeñ to saarī ho chukīñ baaqī rahī hai ab

    pīpal tale ke bhutne shaitān qasam

    haañ phir kahiyo haa.e vo kis tarah ho.e ġhazab

    'inshā' na chheḌ mujh ko mirī jaan qasam

    mil mujh se ai pari tujhe quran ki qasam

    deta hun tujh ko taKHt-e-sulaiman ki qasam

    karr-o-bayon ki tujh ko qasam aur 'arsh ki

    jibril ki qasam tujhe rizwan ki qasam

    tuba ki salsabil ki kausar ke jam ki

    hur-o-qusur-o-jannat-o-ghilman ki qasam

    ruhul-qudus ki tujh ko qasam aur masih ki

    mariyam ke tujh ko iffat-e-daman ki qasam

    tauret ki qasam qasam injil ki tujhe

    tujh ko qasam zabur ki furqan ki qasam

    tujh ko mohammad-e-arabi ki qasam hai aur

    maula-ali ki shah-e-KHurasan ki qasam

    millat mein jis ki tu hui us ki qasam tujhe

    aur apne din mazhab-o-iman ki qasam

    daman ko meri hath se us raat mat jhaTak

    tujh ko sahar ke chaak-e-gareban ki qasam

    muddat se teri chah-e-zaqan mein ghariq hun

    billah mujh ko yusuf-e-kanan ki qasam

    qaidi hun main tera ba-KHuda-wandi-e-KHuda

    aur us aziz-e-misr ke zindan ki qasam

    musa ki hai qasam tujhe aur koh-e-tur ki

    nur-o-farogh-e-jalwa-e-laman ki qasam

    nargis ki aankh ki qasam aur gul ke kan ki

    tujh ko sar-e-aziz-e-gulistan ki qasam

    tujh ko qasam hai ghuncha-e-zambaq ke nak ki

    aur shor-e-andalib-e-ghazal-KHwan ki qasam

    sone ki gae ki qasam aur rud-e-nil ki

    fir'aun ki qasam tujhe haman ki qasam

    bistar mera hai KHar-e-mughilan basan-e-qais

    laila ki hai tujhe saf-e-mizhgan ki qasam

    aisi baDi qasam bhi na mane to hai tujhe

    tujh ko usi ke shaukat-e-zishan ki qasam

    dew-e-safed ki qasam aur koh-e-qaf ki

    bagh-e-iram ki aur paristan ki qasam

    lona-chamari ki qasam aur kallu-abir ki

    kali-bala ki ghul-e-bayaban ki qasam

    qasmen to sari ho chukin baqi rahi hai ab

    pipal tale ke bhutne ki shaitan ki qasam

    han phir tu kahiyo hae wo kis tarah hoe ghazab

    'insha' na chheD mujh ko meri jaan ki qasam

    Source :
    • Kulliyat-e-inshaallah khan insha
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now