mila bhi kya use tauhin-e-rang-o-bu kar ke
milā bhī kyā use tauhīn-e-rañg-o-bū kar ke
gayā chaman se chaman ko jo be-numū kar ke
the ḳhush-gumāñ ki kisī ḳhush-suḳhan se vāsta hai
bahut malāl huā us se guftugū kar ke
thī saare shahr ko bīmārī-e-girāñ-goshī
so chup vatīra kiyā ham ne hāv-hū kar ke
hamārī sub.hoñ ke bai-nāme likhne vāloñ ne
hameñ siyāh kiyā ḳhud ko surḳh-rū kar ke
sagān-e-kūcha-o-bāzār se raho hushiyār
rihā.ī dete haiñ 'mohsin' lahū lahū kar ke
mila bhi kya use tauhin-e-rang-o-bu kar ke
gaya chaman se chaman ko jo be-numu kar ke
the KHush-guman ki kisi KHush-suKHan se wasta hai
bahut malal hua us se guftugu kar ke
thi sare shahr ko bimari-e-giran-goshi
so chup watira kiya hum ne haw-hu kar ke
hamari subhon ke bai-name likhne walon ne
hamein siyah kiya KHud ko surKH-ru kar ke
sagan-e-kucha-o-bazar se raho hushiyar
rihai dete hain 'mohsin' lahu lahu kar ke
- Book : Sukhan sukhan mehtaab (Pg. 54)
- Author : Mohsin Ehsaan
- Publication : Aziz ahmed Khan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.