Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila jo mauqa to rok dunga jalal roz-e-hisab tera

Josh Malihabadi

mila jo mauqa to rok dunga jalal roz-e-hisab tera

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    milā jo mauqa.a to rok dūñgā 'jalāl' roz-e-hisāb terā

    paḌhūñgā rahmat vo qasīda ki hañs paḌegā itaab terā

    yahī to haiñ do sutūn-e-mahkam inhīñ pe qaa.im hai nazm-e-ālam

    yahī to hai rāz-e-ḳhuld-o-ādam nigāh merī shabāb terā

    sabā tasadduq tire nafas par chaman tire pairahan pe qurbāñ

    nasīm-e-doshīzgī meñ kaisā basā huā hai shabāb terā

    tamām mahfil ke rū-ba-rū go uThā.īñ nazreñ milā.īñ āñkheñ

    samajh sakā ek bhī na lekin savāl merā javāb terā

    hazār shāḳheñ adā se lachkīñ huā na terā loch paidā

    shafaq ne kitne rañg badle milā na rañg-e-shabāb terā

    idhar mirā dil taḌap rahā hai tirī javānī justujū meñ

    udhar mire dil aarzū meñ machal rahā hai shabāb terā

    karegī donoñ chaak parda rahegā donoñ ko kar ke rusvā

    ye shorish-e-zauq-e-dīd merī ye ehtimām-e-hijāb terā

    jaḌeñ pahāḌoñ TuuT jātīñ falak to kyā arsh kaañp uThtā

    agar maiñ dil par na rok letā tamām zor-e-shabāb terā

    bhalā huā 'josh' ne haTāyā nigāh chashm-e-tar se parda

    balā se jaatī raheñ gar āñkheñ khulā to band-e-naqāb terā

    mila jo mauqa to rok dunga 'jalal' roz-e-hisab tera

    paDhunga rahmat ka wo qasida ki hans paDega itab tera

    yahi to hain do sutun-e-mahkam inhin pe qaim hai nazm-e-alam

    yahi to hai raaz-e-KHuld-o-adam nigah meri shabab tera

    saba tasadduq tere nafas par chaman tere pairahan pe qurban

    nasim-e-doshizgi mein kaisa basa hua hai shabab tera

    tamam mahfil ke ru-ba-ru go uThain nazren milain aankhen

    samajh saka ek bhi na lekin sawal mera jawab tera

    hazar shaKHen ada se lachkin hua na tera sa loch paida

    shafaq ne kitne hi rang badle mila na rang-e-shabab tera

    idhar mera dil taDap raha hai teri jawani ki justuju mein

    udhar mere dil ki aarzu mein machal raha hai shabab tera

    karegi donon ka chaak parda rahega donon ko kar ke ruswa

    ye shorish-e-zauq-e-did meri ye ehtimam-e-hijab tera

    jaDen pahaDon ki TuT jatin falak to kya arsh kanp uThta

    agar main dil par na rok leta tamam zor-e-shabab tera

    bhala hua 'josh' ne haTaya nigah ka chashm-e-tar se parda

    bala se jati rahen gar aankhen khula to band-e-naqab tera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now