mila kar KHak mein phir KHak ko barbaad karte hain
mila kar KHak mein phir KHak ko barbaad karte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
MORE BYLala Madhav Ram Jauhar
milā kar ḳhaak meñ phir ḳhaak ko barbād karte haiñ
ġharīboñ par sitam kyā kyā sitam-ījād karte haiñ
hazāroñ dil jalā kar ġhair kā dil shaad karte haiñ
miTā kar saikḌoñ shahr ek ghar ābād karte haiñ
mo.azzin ko bhī vo sunte nahīñ nāqūs to kyā hai
'abas shaiḳh o barhaman har taraf fariyād karte haiñ
hasīnoñ kī mohabbat kā na kar kuchh e'tibār ai dil
ye zālim kis ke hote haiñ ye kis ko yaad karte haiñ
vahī shāgird phir ho jaate haiñ ustād ai 'jauhar'
jo apne jaan o dil se ḳhidmat-e-ustād karte haiñ
mila kar KHak mein phir KHak ko barbaad karte hain
gharibon par sitam kya kya sitam-ijad karte hain
hazaron dil jala kar ghair ka dil shad karte hain
miTa kar saikDon shahr ek ghar aabaad karte hain
moazzin ko bhi wo sunte nahin naqus to kya hai
'abas shaiKH o barhaman har taraf fariyaad karte hain
hasinon ki mohabbat ka na kar kuchh e'tibar ai dil
ye zalim kis ke hote hain ye kis ko yaad karte hain
wahi shagird phir ho jate hain ustad ai 'jauhar'
jo apne jaan o dil se KHidmat-e-ustad karte hain
- Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.