mila mujhse wo aaj chanchal chhabila
milā mujh se vo aaj chanchal chhabīlā
huā rañg sun kar raqīboñ kā niilā
kiyā mujh se jis ne adāvat kā panjā
sanulqī alaika qaulan saqīlā
nikal us kī zulfoñ ke kūche se ai dil
tū paḌhtā qumil-laila illā qalīlā
kuhistāñ meñ mārūñ agar aah kā dam
fakānat jibālun kasīban mahīlā
'nazīr' us ke fazl-o-karam par nazar rakh
faqul hasbīyallāh ni.amalvakīlā
mila mujh se wo aaj chanchal chhabila
hua rang sun kar raqibon ka nila
kiya mujh se jis ne adawat ka panja
sanulqi alaika qaulan saqila
nikal us ki zulfon ke kuche se ai dil
tu paDhta qumil-laila illa qalila
kuhistan mein marun agar aah ka dam
fakanat jibaalun kasiban mahila
'nazir' us ke fazl-o-karam par nazar rakh
faqul hasbiyallah niamalwakila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.