mila unhen bhi maza dil pe choT khane ka
milā unheñ bhī maza dil pe choT khāne kā
irāda rakhte the jo ham ko āzmāne kā
vo aa ga.e to dar-o-bām se kiran phūTī
nasīb jaag uThā is ġharīb-ḳhāne kā
unheñ ḳhudā na kare sharmsār honā ho
hameñ malāl nahīñ kuchh fareb khāne kā
na āh-e-nīm-shabī kuchh na nāla-e-saharī
unheñ to uzr koī chāhiye satāne kā
miTeñ to kaise miTeñ husn-o-ishq ke jhagḌe
na vo badalne ke na dil hī baaz aane kā
mila unhen bhi maza dil pe choT khane ka
irada rakhte the jo hum ko aazmane ka
wo aa gae to dar-o-baam se kiran phuTi
nasib jag uTha is gharib-KHane ka
unhen KHuda na kare sharmsar hona ho
hamein malal nahin kuchh fareb khane ka
na aah-e-nim-shabi kuchh na nala-e-sahari
unhen to uzr koi chahiye satane ka
miTen to kaise miTen husn-o-ishq ke jhagDe
na wo badalne ke na dil hi baz aane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.