milan ki raat wo pahli nahin mumkin bhula pana
milan kī raat vo pahlī nahīñ mumkin bhulā paanā
mirā tere qarīb aanā tirā ḳhud meñ simaT jaanā
vo pahlī shab meñ pahle to jhijaknā aur sharmānā
mujhe hai yaad phir ḳhud hī tirā mujh se lipaT jaanā
vo aksar yaad aatā hai tirā āġhosh meñ aanā
mujhe mad.hosh kar ke phir vo chupke se chale jaanā
mohabbat meñ nahīñ ḳhūbī ye jo samjhā rahe ho tum
jab apne dil ko samjhā lo mire dil ko bhī samjhānā
bahut nazdīk se chehra ba-ḳhūbī kab dikhā.ī de
jise ghar ne na pahchānā use duniyā ne pahchānā
milan ki raat wo pahli nahin mumkin bhula pana
mera tere qarib aana tera KHud mein simaT jaana
wo pahli shab mein pahle to jhijakna aur sharmana
mujhe hai yaad phir KHud hi tera mujh se lipaT jaana
wo aksar yaad aata hai tera aaghosh mein aana
mujhe madhosh kar ke phir wo chupke se chale jaana
mohabbat mein nahin KHubi ye jo samjha rahe ho tum
jab apne dil ko samjha lo mere dil ko bhi samjhana
bahut nazdik se chehra ba-KHubi kab dikhai de
jise ghar ne na pahchana use duniya ne pahchana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.