Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai

Aanis Moin

milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai

Aanis Moin

MORE BYAanis Moin

    milan saa.at ko is tarah se amar kiyā hai

    tumhārī yādoñ ke saath tanhā safar kiyā hai

    sunā hai us rut ko dekh kar tum bhī ro paḌe the

    sunā hai bārish ne pattharoñ par asar kiyā hai

    salīb baar bhī uThāo tamām jīvan

    ye lab-kushā.ī jurm tum ne agar kiyā hai

    tumheñ ḳhabar thī haqīqateñ talḳh haiñ jabhī to!

    tumhārī āñkhoñ ne ḳhvāb ko mo'atabar kiyā hai

    ghuTan baḌhī hai to phir usī ko sadā.eñ haiñ

    ki jis havā ne har ik shajar be-samar kiyā hai

    hai tere andar basī huī ek aur duniyā

    magar kabhī ne itnā lambā safar kiyā hai

    mire dam se to raunaqeñ tere shahr meñ thiiñ

    mire qadmoñ ne dasht ko rah-guzar kiyā hai

    tujhe ḳhabar kyā mire laboñ ḳhamoshiyoñ ne!

    tire fasāne ko kis qadar muḳhtasar kiyā hai

    bahut āñkhoñ meñ tīrgī ghar banā chukī hai

    bahut āñkhoñ ne intizār-e-sahar kiyā hai

    milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai

    tumhaari yaadon ke sath tanha safar kiya hai

    suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro paDe the

    suna hai barish ne pattharon par asar kiya hai

    salib ka bar bhi uThao tamam jiwan

    ye lab-kushai ka jurm tum ne agar kiya hai

    tumhein KHabar thi haqiqaten talKH hain jabhi to!

    tumhaari aankhon ne KHwab ko mo'atabar kiya hai

    ghuTan baDhi hai to phir usi ko sadaen di hain

    ki jis hawa ne har ek shajar be-samar kiya hai

    hai tere andar basi hui ek aur duniya

    magar kabhi tu ne itna lamba safar kiya hai

    mere hi dam se to raunaqen tere shahr mein thin

    mere hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai

    tujhe KHabar kya mere labon ki KHamoshiyon ne!

    tere fasane ko kis qadar muKHtasar kiya hai

    bahut si aankhon mein tirgi ghar bana chuki hai

    bahut si aankhon ne intizar-e-sahar kiya hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Muallim-e-urdu(Lucknow) (Pg. 33)
    • Author : Izhar Ahmad
    • Publication : Published by Izhar ahmad Editor,and publisher at the Shagufta printers Lucknow & Distributed simmam Publication 499/129 Hasanganj lucknow-226020 ( February-1992)
    • Edition :  February-1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now