mile hain naqsh-e-pa un ke jahan tak
mile haiñ naqsh-e-pā un ke jahāñ tak
ujālā hī ujālā hai vahāñ tak
dhuñdalke hī dhuñdalke duur tak haiñ
vo aalam hai zamīñ se āsmāñ tak
baḌheñge haath jab bhī zulmatoñ ke
na uTThegā charāġhoñ se dhuāñ tak
haqīqat jāntī hai jis ko duniyā
ḳhayāl-o-ḳhvāb hai duniyā vahāñ tak
añdherā hī añdherā hai har ik sū
umīdeñ saath haiñ lekin kahāñ tak
milegī kyā kisī rahrav ko manzil
bhaTaktā hai amīr-e-kārvāñ tak
ye kin rāhoñ se guzre 'sāhira' ham
nahīñ thā sāya-e-abr-e-ravāñ tak
mile hain naqsh-e-pa un ke jahan tak
ujala hi ujala hai wahan tak
dhundalke hi dhundalke dur tak hain
wo aalam hai zamin se aasman tak
baDhenge hath jab bhi zulmaton ke
na uTThega charaghon se dhuan tak
haqiqat jaanti hai jis ko duniya
KHayal-o-KHwab hai duniya wahan tak
andhera hi andhera hai har ek su
umiden sath hain lekin kahan tak
milegi kya kisi rahraw ko manzil
bhaTakta hai amir-e-karwan tak
ye kin rahon se guzre 'sahira' hum
nahin tha saya-e-abr-e-rawan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.