mile hain pyar ke lamhe to un mein kho jaen
mile haiñ pyaar ke lamhe to un meñ kho jaa.eñ
nasīb jaag rahā hai to aao so jaa.eñ
sar-e-bahisht ġhazal kausar-e-mohabbat meñ
uTho ki qarz adā tishnagī ke ho jaa.eñ
ye ashk ashk guhar rā.egāñ na jā.eñge
jo un ko sher kī laḌiyoñ meñ ham piro jaa.eñ
bahār ho ki ḳhizāñ kār-gāh-e-hastī meñ
unheñ kisī se ġharaz kyā jo tere ho jaa.eñ
chaman nasīb zamāna karegā yaad hameñ
zamīn-e-sher meñ 'sahbā' ḳhayāl bo jaa.eñ
mile hain pyar ke lamhe to un mein kho jaen
nasib jag raha hai to aao so jaen
sar-e-bahisht ghazal kausar-e-mohabbat mein
uTho ki qarz ada tishnagi ke ho jaen
ye ashk ashk guhar raegan na jaenge
jo un ko sher ki laDiyon mein hum piro jaen
bahaar ho ki KHizan kar-gah-e-hasti mein
unhen kisi se gharaz kya jo tere ho jaen
chaman nasib zamana karega yaad hamein
zamin-e-sher mein 'sahba' KHayal bo jaen
- Book : Sarkashidah (Pg. 255)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.