mile jo mangne se wo KHushi dekhi nahin jati
mile jo māñgne se vo ḳhushī dekhī nahīñ jaatī
na jaane mujh se kyoñ duniyā tirī dekhī nahīñ jaatī
idhar koī kalī chaTkī udhar rone lagī shabnam
kabhī shabnam se phūloñ kī hañsī dekhī nahīñ jaatī
vo sach ko mānte kab haiñ takalluf jin kā sheva hai
jabhī to un se merī sādgī dekhī nahīñ jaatī
añdhere narm-dil haiñ ye chhupā lete haiñ zaḳhmoñ ko
baḌī saffāk hai ye raushnī dekhī nahīñ jaatī
agar iqrār kar loge hamārī jaan jā.egī
ki ham se aap hī apnī ḳhushī dekhī nahīñ jaatī
bujhā detā hai jhap se sham' ko har tagḌā parvāna
yahī sach hai ki is se raushnī dekhī nahīñ jaatī
udāsī hī udāsī ho to āñkheñ band kar lūñgā
ki mujh se is qadar bechārgī dekhī nahīñ jaatī
zamāne bhar kī ḳhushiyāñ tere qadmoñ par luTā dūñgā
ki mujh se terī āñkhoñ meñ namī dekhī nahīñ jaatī
lihāz apne baḌoñ kā bhī nahīñ rakkhā hai jo 'fārūq'
agar hai is qadar barjastagī dekhī nahīñ jaatī
mile jo mangne se wo KHushi dekhi nahin jati
na jaane mujh se kyon duniya teri dekhi nahin jati
idhar koi kali chaTki udhar rone lagi shabnam
kabhi shabnam se phulon ki hansi dekhi nahin jati
wo sach ko mante kab hain takalluf jin ka shewa hai
jabhi to un se meri sadgi dekhi nahin jati
andhere narm-dil hain ye chhupa lete hain zaKHmon ko
baDi saffak hai ye raushni dekhi nahin jati
agar iqrar kar loge hamari jaan jaegi
ki hum se aap hi apni KHushi dekhi nahin jati
bujha deta hai jhap se sham' ko har tagDa parwana
yahi sach hai ki is se raushni dekhi nahin jati
udasi hi udasi ho to aankhen band kar lunga
ki mujh se is qadar bechaargi dekhi nahin jati
zamane bhar ki KHushiyan tere qadmon par luTa dunga
ki mujh se teri aankhon mein nami dekhi nahin jati
lihaz apne baDon ka bhi nahin rakkha hai jo 'faruq'
agar hai is qadar barjastagi dekhi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.