mile jo us se to yaadon ke par nikal aae
mile jo us se to yādoñ ke par nikal aa.e
is ik maqām pe kitne safar nikal aa.e
ujaaḌ dasht meñ bas jaa.e merī vīrānī
ajab nahīñ ki yahīñ koī ghar nikal aa.e
bas ek lamhe ko chamkī thī us kī teġh-e-nazar
ḳhalā-e-vaqt meñ qarnoñ ke sar nikal aa.e
machān bāñdhne vaale nishāna chuuk ga.e
ki ḳhud machān kī jānib se Dar nikal aa.e
shahīd-e-kū-e-mohabbat haiñ kaañp jaate haiñ
nadīm ḳhair se koī agar nikal aa.e
daraḳht-e-sabr-burīda sahī pe jānte haiñ
huā hai ye bhī ki us par samar nikal aa.e
adū ke haath bhī teġh o tabar se ḳhālī haiñ
ajiib kyā hai jo ham be-sipar nikal aa.e
ġham-e-jahān o ġham-e-yār do kināre haiñ
udhar jo Duube vo aksar idhar nikal aa.e
yahāñ to ahl-e-hunar ke bhī paañv jalte haiñ
ye rāh-e-sher hai 'arshad' kidhar nikal aa.e
mile jo us se to yaadon ke par nikal aae
is ek maqam pe kitne safar nikal aae
ujaD dasht mein bas jae meri virani
ajab nahin ki yahin koi ghar nikal aae
bas ek lamhe ko chamki thi us ki tegh-e-nazar
KHala-e-waqt mein qarnon ke sar nikal aae
machan bandhne wale nishana chuk gae
ki KHud machan ki jaanib se Dar nikal aae
shahid-e-ku-e-mohabbat hain kanp jate hain
nadim KHair se koi agar nikal aae
daraKHt-e-sabr-burida sahi pe jaante hain
hua hai ye bhi ki us par samar nikal aae
adu ke hath bhi tegh o tabar se KHali hain
ajib kya hai jo hum be-sipar nikal aae
gham-e-jahan o gham-e-yar do kinare hain
udhar jo Dube wo aksar idhar nikal aae
yahan to ahl-e-hunar ke bhi panw jalte hain
ye rah-e-sher hai 'arshad' kidhar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.