mile kuchh ishq mein itna qarar kam-az-kam
mile kuchh ishq meñ itnā qarār kam-az-kam
hamāre chehroñ pe aa.e nikhār kam-az-kam
sunā.ī dene lage us kī dhaḌkanoñ se sadā
kisī se itnā to ho ham ko pyaar kam-az-kam
ham apne ḳhvāb kī ta.abīr kuchh nikāleñ kyā
ki ek lamha to ho pā.edār kam-az-kam
mire chaman meñ ḳhizāñ rakh chukī qadam lekin
mire ḳhayāl ko miltī bahār kam-az-kam
tamām umr kī naqadī meñ dekhiye sāhab
do-chār lamhe to hoñ ḳhush-gavār kam-az-kam
chunī vo rāhguzar jis taraf nahīñ jaanā
ho apne dil pe hameñ iḳhtiyār kam-se-kam
ham us kī yaad ko rakh kar sirhāne baiThe haiñ
kisī tarah to kaTe intizār kam-az-kam
ik-ādh shaḳhs aziyyat-pasand hai lekin
tumhārā hijr kare e'tibār kam-az-kam
mile kuchh ishq mein itna qarar kam-az-kam
hamare chehron pe aae nikhaar kam-az-kam
sunai dene lage us ki dhaDkanon se sada
kisi se itna to ho hum ko pyar kam-az-kam
hum apne KHwab ki tabir kuchh nikalen kya
ki ek lamha to ho paedar kam-az-kam
mere chaman mein KHizan rakh chuki qadam lekin
mere KHayal ko milti bahaar kam-az-kam
tamam umr ki naqadi mein dekhiye sahab
do-chaar lamhe to hon KHush-gawar kam-az-kam
chuni wo rahguzar jis taraf nahin jaana
ho apne dil pe hamein iKHtiyar kam-se-kam
hum us ki yaad ko rakh kar sirhane baiThe hain
kisi tarah to kaTe intizar kam-az-kam
ik-adh shaKHs aziyyat-pasand hai lekin
tumhaara hijr kare e'tibar kam-az-kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.