mile wo dars mujhko zindagi se
mile vo dars mujh ko zindagī se
ki ab Darne lagā dil dostī se
ḳhirad hai āḳhirī manzil junūñ kī
pareshāñ kyuuñ ho merī āgahī se
tum aa.e bhī to ġham ko saath laa.e
mire aañsū nikal aa.e ḳhushī se
ḳhud apnā naam le kar kostā huuñ
ḳhudī ġhāfil nahīñ hai be-ḳhudī se
ye maanā maut bhī āsāñ nahīñ hai
magar mushkil nahīñ hai zindagī se
zamāna dars hāsil kar rahā hai
tumhārī aur hamārī zindagī se
uchaTtī sī nazar 'iqbāl' un kī
koī miltā ho jaise ajnabī se
mile wo dars mujh ko zindagi se
ki ab Darne laga dil dosti se
KHirad hai aaKHiri manzil junun ki
pareshan kyun ho meri aagahi se
tum aae bhi to gham ko sath lae
mere aansu nikal aae KHushi se
KHud apna nam le kar kosta hun
KHudi ghafil nahin hai be-KHudi se
ye mana maut bhi aasan nahin hai
magar mushkil nahin hai zindagi se
zamana dars hasil kar raha hai
tumhaari aur hamari zindagi se
uchaTti si nazar 'iqbaal' un ki
koi milta ho jaise ajnabi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.