Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milega dard to darman ki aarzu hogi

Ghulam Rabbani Taban

milega dard to darman ki aarzu hogi

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    milegā dard to darmāñ aarzū hogī

    tamām umr ġharaz sirf justujū hogī

    phir aaj dil se muḳhātab hai shab sannāTā

    phir aaj sub.h talak un guftugū hogī

    junūñ shaġhl salāmat rafū fikr na kar

    kise ḳhabar hai ki kab fursat-e-rafū hogī

    abhī jaleñge yahāñ aur be-ruḳhī ke charāġh

    is anjuman meñ vafā aur surḳh-rū hogī

    chalegī baat jahāñ terī kaj-adā.ī

    mirī vafā bhī to mauzū-e-guftugū hogī

    bacheñge barq-e-havādis se āshiyāñ kab tak

    ki tez-tar abhī tahrīk-e-rañg-o-bū hogī

    mileñge raah meñ aise aise bhī ham-safar 'tābāñ'

    qadam qadam jinheñ manzil justujū hogī

    milega dard to darman ki aarzu hogi

    tamam umr gharaz sirf justuju hogi

    phir aaj dil se muKHatab hai shab ka sannaTa

    phir aaj subh talak un ki guftugu hogi

    junun ka shaghl salamat rafu ki fikr na kar

    kise KHabar hai ki kab fursat-e-rafu hogi

    abhi jalenge yahan aur be-ruKHi ke charagh

    is anjuman mein wafa aur surKH-ru hogi

    chalegi baat jahan teri kaj-adai ki

    meri wafa bhi to mauzu-e-guftugu hogi

    bachenge barq-e-hawadis se aashiyan kab tak

    ki tez-tar abhi tahrik-e-rang-o-bu hogi

    milenge rah mein aise aise bhi ham-safar 'taban'

    qadam qadam jinhen manzil ki justuju hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now