milne ka imkan banae baiThe ho
milne kā imkān banā.e baiThe ho
kis ko dil aur jaan banā.e baiThe ho
barsīñ āḳhir bārish jaise kyoñ āñkheñ
tum bādal mehmān banā.e baiThe ho
dasht kī ḳhaak sameTī maiñ ne palkoñ se
ghar apnā dālān banā.e baiThe ho
kis ke aane kī ummīd meñ āḳhir yuuñ
raste ko gul-dān banā.e baiThe ho
kaun kisī kī yaad bhulā.ī jaane ko
tum āñgan shamshān banā.e baiThe ho
qasmeñ va.ade jhūTe jis kī ḳhātir tum
dil apnā vīrān banā.e baiThe ho
tanhā tanhā rahte ho 'āsim' 'tanhā'
ye kaisī pahchān banā.e baiThe ho
milne ka imkan banae baiThe ho
kis ko dil aur jaan banae baiThe ho
barsin aaKHir barish jaise kyon aankhen
tum baadal mehman banae baiThe ho
dasht ki KHak sameTi main ne palkon se
ghar apna dalan banae baiThe ho
kis ke aane ki ummid mein aaKHir yun
raste ko gul-dan banae baiThe ho
kaun kisi ki yaad bhulai jaane ko
tum aangan shamshan banae baiThe ho
qasmen wade jhuTe jis ki KHatir tum
dil apna viran banae baiThe ho
tanha tanha rahte ho 'asim' 'tanha'
ye kaisi pahchan banae baiThe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.