milne ka jab maza hai ki dil aap ka mile
milne kā jab mazā hai ki dil aap kā mile
zāhir meñ aap mujh se mile bhī to kyā mile
ye aarzū hai ab na rahe koī aarzū
ye mudda.ā hai ab dil-e-be-mudda.ā mile
detā hai tark-e-ishq-e-butāñ kī salāh tū
vaa.iz ḳhudā kare ki na tujh ko ḳhudā mile
ḳhātir se merī aap uThā.eñ na ġhair ko
mahfil meñ jā mile na mile dil meñ jā mile
dil ḳhaak ho ke baiTh na jaa.e to kyā kare
kūche meñ ġhair ke jo tirā naqsh-e-pā mile
hairāñ khaḌā huā huuñ maiñ sahrā-e-ishq meñ
yāvar nasīb ho to koī rahnumā mile
us gul-badan se yuuñ havas-e-iḳhtilāt hai
gulshan meñ jaise phuul se bād-e-sabā mile
ye gul-ruḳhān-e-dahr vo gul haiñ ki naam ko
jin meñ na ḳhū-e-mahr na bū-e-vafā mile
hai ḳhirqa-o-qabā pe abas nāz-e-imtiyāz
yaksāñ haiñ jabki ḳhaak meñ shāh-o-gadā mile
āshiq kī maut vo hai ki qurbāñ ho jis pe ziist
aur ziist vo ki maut kā jis meñ mazā mile
bejā nahīñ rakhūñ jo maiñ 'mahrūm' apnā naam
mujh se agar na vo but-e-nā-āshnā mile
milne ka jab maza hai ki dil aap ka mile
zahir mein aap mujh se mile bhi to kya mile
ye aarzu hai ab na rahe koi aarzu
ye muddaa hai ab dil-e-be-muddaa mile
deta hai tark-e-ishq-e-butan ki salah tu
waiz KHuda kare ki na tujh ko KHuda mile
KHatir se meri aap uThaen na ghair ko
mahfil mein ja mile na mile dil mein ja mile
dil KHak ho ke baiTh na jae to kya kare
kuche mein ghair ke jo tera naqsh-e-pa mile
hairan khaDa hua hun main sahra-e-ishq mein
yawar nasib ho to koi rahnuma mile
us gul-badan se yun hawas-e-iKHtilat hai
gulshan mein jaise phul se baad-e-saba mile
ye gul-ruKHan-e-dahr wo gul hain ki nam ko
jin mein na KHu-e-mahr na bu-e-wafa mile
hai KHirqa-o-qaba pe abas naz-e-imtiyaz
yaksan hain jabki KHak mein shah-o-gada mile
aashiq ki maut wo hai ki qurban ho jis pe zist
aur zist wo ki maut ka jis mein maza mile
beja nahin rakhun jo main 'mahrum' apna nam
mujh se agar na wo but-e-na-ashna mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.