milne koi mujhse mere andar nahin aata
milne koī mujh se mire andar nahīñ aatā
andar mire jo bhī hai vo bāhar nahīñ aatā
kyuuñ aa.e ho mere liye dastūr na badlo
dariyā ke liye koī samundar nahīñ aatā
is karb kā aalam to musāfir hī se pūchho
jab shaam guzar jaatī hai aur ghar nahīñ aatā
sach baat to ye hai ki kare bhī to koī kyā
aatā hai burā vaqt to kah kar nahīñ aatā
shā.ir to bahut se haiñ magar 'josh' the phir 'josh'
sab ke liye alfāz kā lashkar nahīñ aatā
milne koi mujh se mere andar nahin aata
andar mere jo bhi hai wo bahar nahin aata
kyun aae ho mere liye dastur na badlo
dariya ke liye koi samundar nahin aata
is karb ka aalam to musafir hi se puchho
jab sham guzar jati hai aur ghar nahin aata
sach baat to ye hai ki kare bhi to koi kya
aata hai bura waqt to kah kar nahin aata
shair to bahut se hain magar 'josh' the phir 'josh'
sab ke liye alfaz ka lashkar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.