miloge tum nahin chaha karoge
miloge tum nahīñ chāhā karoge
batāo āshiqī kā kyā karoge
yaqīñ meñ tum ne apnā dil diyā thā
vafā meñ jaan tum māñgā karoge
maiñ apnī had se ab behad huī huuñ
to kyā soche binā lauTā karoge
lagā.ī hai jo tum ne aag jānam
kabhī kyā is ko tum taapā karoge
usī kamre meñ ab bhī huuñ akelī
to kyā tum yaad bin pīchhā karoge
mohabbat meñ nahīñ jhuknā hai tum ko
kuñvāre nain tum ghūmā karoge
kahīñ ruknā nahīñ fitrat tumhārī
kahāñ tak bhauñre ban bhaTkā karoge
miloge tum nahin chaha karoge
batao aashiqi ka kya karoge
yaqin mein tum ne apna dil diya tha
wafa mein jaan tum manga karoge
main apni had se ab behad hui hun
to kya soche bina lauTa karoge
lagai hai jo tum ne aag jaanam
kabhi kya is ko tum tapa karoge
usi kamre mein ab bhi hun akeli
to kya tum yaad bin pichha karoge
mohabbat mein nahin jhukna hai tum ko
kunware nain tum ghuma karoge
kahin rukna nahin fitrat tumhaari
kahan tak bhaunre ban bhaTka karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.