milta nahin KHud apne qadam ka nishan mujhe
Interesting Fact
1982
miltā nahīñ ḳhud apne qadam kā nishāñ mujhe
kin marhaloñ meñ chhoḌ gayā kārvāñ mujhe
lamhe kā lams phail chukā kā.enāt par
āvāz dene aa.ī haiñ ab dūriyāñ mujhe
ik jast meñ tamām huiiñ saarī vus.ateñ
lā ab na.ī zamīn nayā āsmāñ mujhe
aaj ek dasht-vasht meñ tanhā shajar bhī maiñ
hairat se tākte haiñ sabhī kārvāñ mujhe
jañgal kī aag phail ga.ī saare sahn meñ
le jaa.e ab junūn na jaane kahāñ mujhe
saare tilism TuuT ga.e ishtiyāq ke
vo raah meñ mile jo kabhī nā-gahāñ mujhe
taḳhlīq-e-sher jehd-e-musalsal vo ḳhāna-zād
ek ek lafz dar pe mahāz-e-garāñ mujhe
milta nahin KHud apne qadam ka nishan mujhe
kin marhalon mein chhoD gaya karwan mujhe
lamhe ka lams phail chuka kaenat par
aawaz dene aai hain ab duriyan mujhe
ek jast mein tamam huin sari wusaten
la ab nai zamin naya aasman mujhe
aaj ek dasht-washt mein tanha shajar bhi main
hairat se takte hain sabhi karwan mujhe
jangal ki aag phail gai sare sahn mein
le jae ab junun na jaane kahan mujhe
sare tilism TuT gae ishtiyaq ke
wo rah mein mile jo kabhi na-gahan mujhe
taKHliq-e-sher jehd-e-musalsal wo KHana-zad
ek ek lafz dar pe mahaz-e-garan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.