milte hain chhuT jate hain
milte haiñ chhuT jaate haiñ
sāthī phir bhī bhāte haiñ
dil meñ koī dard na thā
ab vo din yaad aate haiñ
ho jin kā ehsās faqīr
jholī vo phailāte haiñ
log sabhī kī kamzorī
auroñ tak pahuñchāte haiñ
roke haath nahīñ rukte
phuul aise madh-māte haiñ
ġham se to kyā ghabrāte
ham tum se ghabrāte haiñ
jin se kuchh ummīd na ho
vo bhī kaam aa jaate haiñ
ho jaate haiñ sab un ke
jin se rāhat paate haiñ
'manzil' lohā Therī huuñ
kahiye kyā farmāte haiñ
milte hain chhuT jate hain
sathi phir bhi bhate hain
dil mein koi dard na tha
ab wo din yaad aate hain
ho jin ka ehsas faqir
jholi wo phailate hain
log sabhi ki kamzori
auron tak pahunchate hain
roke hath nahin rukte
phul aise madh-mate hain
gham se to kya ghabraate
hum tum se ghabraate hain
jin se kuchh ummid na ho
wo bhi kaam aa jate hain
ho jate hain sab un ke
jin se rahat pate hain
'manzil' loha Theri hun
kahiye kya farmate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.