milte hain kahan KHud ko hum be-KHud-e-gham tanha
milte haiñ kahāñ ḳhud ko ham be-ḳhud-e-ġham tanhā
ham se bhī milā denā mil jaa.eñ jo ham tanhā
us aag kā ik sho'la duniyā ke liye kaafī
ik 'umr se jalte haiñ jis aag meñ ham tanhā
ai gardish-e-daurāñ tū us vaqt kī sāthī hai
jab ham ne zamāne meñ rakkhā thā qadam tanhā
ehsās-e-anā kyā hai ehsās-e-vajūd apnā
ham ko na chhuḌā ham se rah jā.eñge ham tanhā
saaqī hai na sahbā hai kyā daur 'shamīm' aayā
maiḳhāne meñ baiThe haiñ bā-dīda-e-nam tanhā
milte hain kahan KHud ko hum be-KHud-e-gham tanha
hum se bhi mila dena mil jaen jo hum tanha
us aag ka ek sho'la duniya ke liye kafi
ek 'umr se jalte hain jis aag mein hum tanha
ai gardish-e-dauran tu us waqt ki sathi hai
jab hum ne zamane mein rakkha tha qadam tanha
ehsas-e-ana kya hai ehsas-e-wajud apna
hum ko na chhuDa hum se rah jaenge hum tanha
saqi hai na sahba hai kya daur 'shamim' aaya
maiKHane mein baiThe hain ba-dida-e-nam tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.