milte hi dil ne hum ko giraftar kar diya
milte hī dil ne ham ko giraftār kar diyā
rusvā-e-shahr-o-kūcha-o-bāzār kar diyā
pyāre qasam le le ho dobāra agar nazar
haañ yak nigāh tum ne gunahgār kar diyā
go ham zalīl-o-ḳhvār hue ḳhalq meñ miyāñ
aalam ko aap kā to talabgār kar diyā
karne lagī ho ab jo mire saath ye sulūk
shāyad kisī ne tum ko ḳhabar-dār kar diyā
jo kuchh sulūk ham se karo tum bajā hai yaar
chūke hamīñ jo tum ko numūdār kar diyā
jaate hī madrase meñ kal us but ne ai 'na.īm'
tasbīh-e-shaiḳh rishta-e-zunnār kar diyā
milte hi dil ne hum ko giraftar kar diya
ruswa-e-shahr-o-kucha-o-bazar kar diya
pyare qasam le le ho dobara agar nazar
han yak nigah tum ne gunahgar kar diya
go hum zalil-o-KHwar hue KHalq mein miyan
aalam ko aap ka to talabgar kar diya
karne lagi ho ab jo mere sath ye suluk
shayad kisi ne tum ko KHabar-dar kar diya
jo kuchh suluk hum se karo tum baja hai yar
chuke hamin jo tum ko numudar kar diya
jate hi madrase mein kal us but ne ai 'naim'
tasbih-e-shaiKH rishta-e-zunnar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.