milte julte hain yahan log zarurat ke liye
milte julte haiñ yahāñ log zarūrat ke liye
ham tire shahr meñ aa.e haiñ mohabbat ke liye
vo bhī āḳhir tirī tārīf meñ hī ḳharch huā
maiñ ne jo vaqt nikālā thā shikāyat ke liye
maiñ sitāra huuñ magar tez nahīñ chamkūñgā
dekhne vaale kī āñkhoñ kī suhūlat ke liye
tum ko batlā.ūñ ki din bhar vo mire saath rahā
haañ vahī shaḳhs jo mash.hūr hai ujlat ke liye
sar jhukā.e hue ḳhāmosh jo tum baiThe ho
itnā kaafī hai mire dost nadāmat ke liye
vo bhī din aa.e ki dahlīz pe aa kar 'az.har'
paañv rukte haiñ mire terī ijāzat ke liye
milte julte hain yahan log zarurat ke liye
hum tere shahr mein aae hain mohabbat ke liye
wo bhi aaKHir teri tarif mein hi KHarch hua
main ne jo waqt nikala tha shikayat ke liye
main sitara hun magar tez nahin chamkunga
dekhne wale ki aankhon ki suhulat ke liye
tum ko batlaun ki din bhar wo mere sath raha
han wahi shaKHs jo mashhur hai ujlat ke liye
sar jhukae hue KHamosh jo tum baiThe ho
itna kafi hai mere dost nadamat ke liye
wo bhi din aae ki dahliz pe aa kar 'azhar'
panw rukte hain mere teri ijazat ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.