mimbaron par bhi gunahgar nazar aate hain
mimbaroñ par bhī gunahgār nazar aate haiñ
sab qayāmat ke hī āsār nazar aate haiñ
in masīhāoñ se allāh bachā.e ham ko
shakl-o-sūrat se jo bīmār nazar aate haiñ
jaane kyā TuuT gayā hai ki har ik raat mujhe
ḳhvāb meñ gumbad-o-mīnār nazar aate haiñ
maat dete haiñ yazīdoñ ko lahū se ham hī
ham hī nezoñ pe har ik baar nazar aate haiñ
aañkh kholī hai fasādāt meñ jin bachchoñ ne
un ko ḳhvāboñ meñ bhī hathiyār nazar aate haiñ
mimbaron par bhi gunahgar nazar aate hain
sab qayamat ke hi aasar nazar aate hain
in masihaon se allah bachae hum ko
shakl-o-surat se jo bimar nazar aate hain
jaane kya TuT gaya hai ki har ek raat mujhe
KHwab mein gumbad-o-minar nazar aate hain
mat dete hain yazidon ko lahu se hum hi
hum hi nezon pe har ek bar nazar aate hain
aankh kholi hai fasadat mein jin bachchon ne
un ko KHwabon mein bhi hathiyar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.