minnat samajat aur madarat ke baad bhi
minnat samajat aur madarat ke baad bhi
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
minnat samājat aur madārat ke baad bhī
nārāz haiñ vo merī vazāhat ke baad bhī
zinda the jitne ḳhilqat-e-avval se pahle log
zinda raheñge itne qayāmat ke baad bhī
kaisī ajiib mushkileñ haiñ jo mire murīd
mere muqāble pe haiñ bai'at ke baad bhī
ham se ḳhatā huī hai koī kyā batā.iye
milte nahīñ haiñ aap to fursat ke baad bhī
nok-e-sināñ pe kar ke tilāvat batā diyā
bai'at na le sakoge shahādat ke baad bhī
merī shikast merī samajh se hai māvarā
ahbāb-e-anjuman kī himāyat ke baad bhī
maiñ ne kahā suno zarā us ne kahā kaho
kuchh kah na paayā itnī ijāzat ke baad bhī
minnat samajat aur madarat ke baad bhi
naraaz hain wo meri wazahat ke baad bhi
zinda the jitne KHilqat-e-awwal se pahle log
zinda rahenge itne qayamat ke baad bhi
kaisi ajib mushkilen hain jo mere murid
mere muqable pe hain bai'at ke baad bhi
hum se KHata hui hai koi kya bataiye
milte nahin hain aap to fursat ke baad bhi
nok-e-sinan pe kar ke tilawat bata diya
bai'at na le sakoge shahadat ke baad bhi
meri shikast meri samajh se hai mawara
ahbab-e-anjuman ki himayat ke baad bhi
main ne kaha suno zara us ne kaha kaho
kuchh kah na paya itni ijazat ke baad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.