kya main bhi pareshani-e-KHatir se qarin tha
kyā maiñ bhī pareshānī-e-ḳhātir se qarīñ thā
āñkheñ to kahīñ thiiñ dil-e-ġham-dīda kahīñ thā
kis raat nazar kī hai sū-e-chashmak-e-anjum
āñkhoñ ke tale apne to vo māh-jabīñ thā
aayā to sahī vo koī dam ke liye lekin
hoñToñ pe mire jab nafas-e-bāz-pusīñ thā
ab koft se hijrāñ kī jahāñ tan pe rakhā haath
jo dard-o-alam thā so kahe tū ki vahīñ thā
jaanā nahīñ kuchh juz ġhazal aa kar ke jahāñ meñ
kal mere tasarruf meñ yahī qit'a zamīñ thā
naam aaj koī yaañ nahīñ letā hai unhoñ kā
jin logoñ ke kal mulk ye sab zer-e-nagīñ thā
masjid meñ imaam aaj huā aa ke vahāñ se
kal tak to yahī 'mīr' ḳharābāt-nashīñ thā
kya main bhi pareshani-e-KHatir se qarin tha
aankhen to kahin thin dil-e-gham-dida kahin tha
kis raat nazar ki hai su-e-chashmak-e-anjum
aankhon ke tale apne to wo mah-jabin tha
aaya to sahi wo koi dam ke liye lekin
honTon pe mere jab nafas-e-baz-pusin tha
ab koft se hijran ki jahan tan pe rakha hath
jo dard-o-alam tha so kahe tu ki wahin tha
jaana nahin kuchh juz ghazal aa kar ke jahan mein
kal mere tasarruf mein yahi qit'a zamin tha
nam aaj koi yan nahin leta hai unhon ka
jin logon ke kal mulk ye sab zer-e-nagin tha
masjid mein imam aaj hua aa ke wahan se
kal tak to yahi 'mir' KHarabaat-nashin tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.