Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikle hai chashma jo koi josh-e-zanan pani ka

Meer Taqi Meer

nikle hai chashma jo koi josh-e-zanan pani ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    nikle hai chashma jo koī josh-e-zanāñ paanī

    yād-dah hai vo kaso chashm giryānī

    lutf agar ye hai butāñ sandal peshānī

    husn kyā sub.h ke phir chehra-e-nūrānī

    kufr kuchh chāhiye islām raunaq ke liye

    husn zunnār hai tasbīh-e-sulaimānī

    darhamī haal hai saare mire dīvāñ meñ

    sair kar bhī ye majmūa pareshānī

    jaan ghabrātī hai andoh se tan meñ kyā kyā

    tañg ahvāl hai us yūsuf-e-zindānī

    khel laḌkoñ samajhte the mohabbat ke ta.iiñ

    hai baḌā haif hameñ apnī bhī nādānī

    vo bhī jaane ki lahū ro ke likhā hai maktūb

    ham ne sar naama kiyā kāġhaz afshānī

    us muñh dekh rahā huuñ so vahī dekhūñ huuñ

    naqsh hai samāñ merī bhī hairānī

    but-parastī ko to islām nahīñ kahte haiñ

    mo'taqid kaun hai 'mīr' aisī musalmānī

    nikle hai chashma jo koi josh-e-zanan pani ka

    yaad-dah hai wo kaso chashm ki giryani ka

    lutf agar ye hai butan sandal peshani ka

    husn kya subh ke phir chehra-e-nurani ka

    kufr kuchh chahiye islam ki raunaq ke liye

    husn zunnar hai tasbih-e-sulaimani ka

    darhami haal ki hai sare mere diwan mein

    sair kar tu bhi ye majmua pareshani ka

    jaan ghabraati hai andoh se tan mein kya kya

    tang ahwal hai us yusuf-e-zindani ka

    khel laDkon ka samajhte the mohabbat ke tain

    hai baDa haif hamein apni bhi nadani ka

    wo bhi jaane ki lahu ro ke likha hai maktub

    hum ne sar nama kiya kaghaz afshani ka

    us ka munh dekh raha hun so wahi dekhun hun

    naqsh ka sa hai saman meri bhi hairani ka

    but-parasti ko to islam nahin kahte hain

    mo'taqid kaun hai 'mir' aisi musalmani ka

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now