mustujib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hun
mustujib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafā huuñ
har-chand ki jaltā huuñ pe sargarm-e-vafā huuñ
aate haiñ mujhe ḳhuub se donoñ hunar-e-ishq
rone ke ta.iiñ āñdhī huuñ kuḌhne ko balā huuñ
is gulshan-e-duniyā meñ shagufta na huā maiñ
huuñ ġhuncha-e-afsurda ki mardūd-e-sabā huuñ
ham-chashm hai har ābla-e-pā kā mirā ashk
az-bas ki tirī raah meñ āñkhoñ se chalā huuñ
aayā koī bhī tarah mire chiin kī hogī
āzurda huuñ jiine se maiñ marne se ḳhafā huuñ
dāman na jhaTak haath se mere ki sitamgar
huuñ ḳhāk-e-sar-e-rāh koī dam meñ huā huuñ
dil ḳhvāh jalā ab to mujhe ai shab-e-hijrāñ
maiñ soḳhta bhī muntazir-e-roz-e-jazā huuñ
go tāqat-o-ārām-o-ḳhor-o-ḳhvāb ga.e sab
baare ye ġhanīmat hai ki jiitā to rahā huuñ
itnā hī mujhe ilm hai kuchh maiñ huuñ bahar-chīz
ma.alūm nahīñ ḳhuub mujhe bhī ki maiñ kyā huuñ
behtar hai ġharaz ḳhāmushī hī kahne se yārāñ
mat pūchho kuchh ahvāl ki mar mar ke jiyā huuñ
tab garm-e-suḳhan kahne lagā huuñ maiñ ki ik umr
juuñ sham.a sar-e-shām se tā-sub.h jalā huuñ
siina to kiyā fazl-e-ilāhī se sabhī chaak
hai vaqt-e-duā 'mīr' ki ab dil ko lagā huuñ
mustujib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hun
har-chand ki jalta hun pe sargarm-e-wafa hun
aate hain mujhe KHub se donon hunar-e-ishq
rone ke tain aandhi hun kuDhne ko bala hun
is gulshan-e-duniya mein shagufta na hua main
hun ghuncha-e-afsurda ki mardud-e-saba hun
ham-chashm hai har aabla-e-pa ka mera ashk
az-bas ki teri rah mein aankhon se chala hun
aaya koi bhi tarah mere chin ki hogi
aazurda hun jine se main marne se KHafa hun
daman na jhaTak hath se mere ki sitamgar
hun KHak-e-sar-e-rah koi dam mein hua hun
dil KHwah jala ab to mujhe ai shab-e-hijran
main soKHta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hun
go taqat-o-aram-o-KHor-o-KHwab gae sab
bare ye ghanimat hai ki jita to raha hun
itna hi mujhe ilm hai kuchh main hun bahar-chiz
malum nahin KHub mujhe bhi ki main kya hun
behtar hai gharaz KHamushi hi kahne se yaran
mat puchho kuchh ahwal ki mar mar ke jiya hun
tab garm-e-suKHan kahne laga hun main ki ek umr
jun shama sar-e-sham se ta-subh jala hun
sina to kiya fazl-e-ilahi se sabhi chaak
hai waqt-e-dua 'mir' ki ab dil ko laga hun
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0293
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.