hijran ki koft khinche be-dam se ho chale hain
hijrāñ kī koft khīñche be-dam se ho chale haiñ
sar maar maar ya.anī ab ham bhī so chale haiñ
javīñ raheñgī jaarī gulshan meñ ek muddat
saa.e meñ har shajar ke ham zor ro chale haiñ
labrez ashk āñkheñ har baat meñ rahā kiiñ
ro ro ke kaam apne sab ham Dubo chale haiñ
pachhtā.iye na kyūñkar jī is tarah se de kar
ye gauhar-girāmī ham muft kho chale haiñ
qat.a tarīq mushkil hai ishq kā nihāyat
ve 'mīr' jānte haiñ is raah jo chale haiñ
hijran ki koft khinche be-dam se ho chale hain
sar mar mar yani ab hum bhi so chale hain
jawin rahengi jari gulshan mein ek muddat
sae mein har shajar ke hum zor ro chale hain
labrez ashk aankhen har baat mein raha kin
ro ro ke kaam apne sab hum Dubo chale hain
pachhtaiye na kyunkar ji is tarah se de kar
ye gauhar-girami hum muft kho chale hain
qata tariq mushkil hai ishq ka nihayat
we 'mir' jaante hain is rah jo chale hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0333
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.