KHub-ru sab ki jaan hote hain
ḳhūb-rū sab kī jaan hote haiñ
ārzū-e-jahān hote haiñ
gosha-e-dīvār tak tū jā naale
us meñ gul ko bhī kaan hote haiñ
kabhū aate haiñ aap meñ tujh bin
ghar meñ ham mehmān hote haiñ
dasht ke phūTe maqbaroñ pe na jā
rauze sab gulsitāñ hote haiñ
harf-e-talḳh un ke kyā kahūñ maiñ ġharaz
ḳhūb-rū bad-zabān hote haiñ
ġhamza-e-chashm ḳhush-qadān-e-zamīñ
fitna-e-asmān hote haiñ
kyā rahā hai mushā'ere meñ ab
log kuchh jam' aan hote haiñ
'mīr'-o-'mirzā-rafī' va 'ḳhvāja-mīr'
kitne ik ye javān hote haiñ
KHub-ru sab ki jaan hote hain
aarzu-e-jahan hote hain
gosha-e-diwar tak tu ja nale
us mein gul ko bhi kan hote hain
kabhu aate hain aap mein tujh bin
ghar mein hum mehman hote hain
dasht ke phuTe maqbaron pe na ja
rauze sab gulsitan hote hain
harf-e-talKH un ke kya kahun main gharaz
KHub-ru bad-zaban hote hain
ghamza-e-chashm KHush-qadan-e-zamin
fitna-e-asman hote hain
kya raha hai musha'ere mein ab
log kuchh jam' aan hote hain
'mir'-o-'mirza-rafi' wa 'KHwaja-mir'
kitne ek ye jawan hote hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0336
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.