kahe hai kohkan kar fikr meri KHasta-haali mein
kahe hai kohkan kar fikr merī ḳhasta-hālī meñ
ilāhī shukr kartā huuñ tirī dargāh 'aalī meñ
maiñ vo pazhmurda sabza huuñ ki ho kar ḳhaak se sarzad
yakāyak aa gayā us āsmāñ kī pā.emālī meñ
tū sach kah rang paañ hai ye ki ḳhuun ishq-bāzāñ hai
suḳhan rakhte haiñ kitne shaḳhs tere lab kī laalī meñ
burā kahnā bhī merā ḳhush na aayā us ko to varna
tasallī ye dil-e-nāshād hotā ek gaalī meñ
mire ustād ko firdaus-e-a.alā meñ mile jaagā
paḌhāyā kuchh na ġhair-az-ishq mujh ko ḳhurd-sālī meñ
ḳharābī 'ishq se rahtī hai dil par aur nahīñ rahtā
nihāyat 'aib hai ye is dayār-e-ġham ke vaalī meñ
nigāh-e-chashm pur-ḳhashm-e-butāñ par mat nazar rakhnā
milā hai zahr ai dil is sharāb-e-portugalī meñ
sharāb-e-ḳhūn bin taḌpūñ se dil labrez rahtā hai
bhare haiñ sañg-reze maiñ nai is mīnā-e-ḳhālī meñ
ḳhilāf un aur ḳhūbāñ ke sadā ye jī meñ rahtā hai
yahī to 'mīr' ik ḳhūbī hai ma.ashūq-e-ḳhayālī meñ
kahe hai kohkan kar fikr meri KHasta-haali mein
ilahi shukr karta hun teri dargah 'ali mein
main wo pazhmurda sabza hun ki ho kar KHak se sarzad
yakayak aa gaya us aasman ki paemali mein
tu sach kah rang pan hai ye ki KHun ishq-bazan hai
suKHan rakhte hain kitne shaKHs tere lab ki lali mein
bura kahna bhi mera KHush na aaya us ko to warna
tasalli ye dil-e-nashad hota ek gali mein
mere ustad ko firdaus-e-ala mein mile jaga
paDhaya kuchh na ghair-az-ishq mujh ko KHurd-sali mein
KHarabi 'ishq se rahti hai dil par aur nahin rahta
nihayat 'aib hai ye is dayar-e-gham ke wali mein
nigah-e-chashm pur-KHashm-e-butan par mat nazar rakhna
mila hai zahr ai dil is sharab-e-portugali mein
sharab-e-KHun bin taDpun se dil labrez rahta hai
bhare hain sang-reze main nai is mina-e-KHali mein
KHilaf un aur KHuban ke sada ye ji mein rahta hai
yahi to 'mir' ek KHubi hai mashuq-e-KHayali mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0352
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.